Baaz auqaat tumhain khud ko ankhain dikha kar ek baat se mana karna parhta hoga. Kiyunkay tum khud ko dhamki deti hogi kay main falan falan kar bethungi. Ya tumhain aisa mehsoos hota hoga kay tum falan falan kar beth sakti ho, ya kar bethogi.
Tab.
Tab, tumhain khud ko aankhain dikha kar poochna parhta hoga,
Acha?
Jo tum soch rahi ho kar sakogi?
Kar sakti ho?
Himmat hai?
Is kaam ka faida kiya hai?
Aisa karnay se tum barhi duniya fatah kar logi!
Wah wah ho gi tumhari.
Surkhuro ho jaogi Amma Abba kay agay, aakhirat mein Allah kay samnay!
Tum karo ye, zaroor karo.
Tum ye karo aur barbaad ho jao.
Karo! Shauq se karo.
Jaao.
Ye guftugu tumhain sochnay ka waqt de deti hogi. Tumharay marz ki tashkhees kar deti hogi. Tumhain sahi aur ghalat mein farq karnay mein madad deti hogi. Phir dobara jab aisa koi moarh aata hoga jahan tumhara bas na chalta hoga aur waswasay aur besaropa khayalat tumhain niggal janay kay liye apnay siyah hathon se tumhari taraf lapaktay hongay tab. Tab. Tab tum unhain ek sheeshay kay murabbay mein qaid kar kay apni soch ki 'synapses' mein dobara phailnay se rok deti hogi. Kiyunkay faisla tum kar chuki hogi us kashmakash kay baad jo tumharay ander thi; tum aisa kuch na karogi, na kar sakti ho aur na hi tumhain karna chahiye.